Pages

Monday, July 6, 2009

theme rehana baki hai...

Kee bundein ab nahi tikti in palko par
shayad mera rona abhi orr baki hai
behata in ashko ke sang to door talak jata par
shayad mera yahin thame rehana abhi baki hai...

Pehali Mulakaat..

wo muzhe mili jab pehali baar
chess ke liye trial tha jab yaar
khela match usne mere saath
hua chayan uska milaya haath

uske baad mile hum frsher's wali raat
miloonga uss se socha karunga do baat
monday ko match batani thi usko ye baat
bhool gaya masti mein lekin mai ye uss raat

ab match ka aa gaya dinn
adhuri thi team uske binn
phone karke abb fir bulaya usko
aane ko mana kar diya usne muzhko

abb kya kare team uske binn
kiya arrangement kuch fir uss din
bulaya oro ko khelne ke liye
kiya match fir usko bina liye

buss yahi thi uske mere rishte kee shuruaat
kaise bhoolun mai usko kaise bhoolu uski wo baat
kiya karte the wo or mai aadhi aadhi raat
thode usmein bhot muzhmein the ye zazbaat

khush tha mai bhot khuda na sahi khuda sa mila yaar
par....??
reh na sake jyaada hum saath saath
raste hue aaj juda juda uske or mere
janta hoon ye bhi galti hai hee sirf meri
par zaruri hai ye isme hee khushi teri

buss abb tuzhse ek hee dua e-khuda
rakhan khush use mere bina sada
ho na wo kabhi apne pyaar se judaa
wo sab usko mile jo usne apna chuna

buss ab ye hee hai tuzhse meri ek choti see dua..man bhi le e khuda..man bhi le e khuda..


ek ladki wo gulaab ke traha...

wo phool ka aks ek khushboo kee traha
jiski khushnuma muskurahat ek subha kee traha
nayan jiske ek uljhe rehasya kee traha
wo jo ek ladki hai gulaab kee traha, phool ka aks khushboo kee traha...

Muskurane par gaalo mein jiske pade goli
uski wo dheemi pyaar bhari meethi boli
chup rehana wo uska uski aadat kee traha
kehata hai wo sab kuch ek zawaab kee traha

wo phool ka aks ek khushboo kee traha, wo jo ek ladki hai gulaab kee traha...

chale jab wo apni dheemi chaal se
baalo ka wo uske udna sunder bhaal se
wo unnmukt panchi kee traha hawa kee traha
behate hue sagar mein uski unchi leharon kee traha

wo jo ek ladki hai gulaab kee traha, phool ka aks ek khushboo kee traha..

haath hain jiske kamal kee traha
patli lambi gardan surahi kee traha
wo uske badan kee khushboo hai kaisi?
sheetalta deti jo muzhe sandal kee traha

wo jo ek ladki hai gulaab kee traha, phool ka aks ek khushboo kee traha..

meri baato par uska wo naraaz hona
mere manane par fir uska wo maan jana
wo jo meri mohabbat hai bilkul rabb kee traha
subha kee traha, zindgi kee traha, saanso kee traha

wo jo ek ladki hai gulaab kee traha, phool ka aks ek khushboo kee traha....

usne jo dekha tha muzhe wo unn teerchee kashish bhari nighao se
mehak utha tha tan mann mera jab bhara tha usne muzhe baho mein
pal tha sunhera wo jannat kee traha
wo jo ek ladki hai bilkul mere rabb ke traha

wo jo ek ladki hai gulaab kee traha, phool ka aks ek khushboo ke traha..

Wazha....mere jeene kee

Marna Bhi cha to mar na saka, ashko ko bhana cha to bha na saka
muzhe jeena pada teri wazha se, ashko ko peena pada teri wazha se.

Chahat to thi k tuzhe apni mohabbat kee jannat kee sair karaoun par
muzhe dard ke ke iss jhannum mein rehana pada sirf teri wazha se.

Mana kee thoda galat tha mai bhi shuruaat se hee rishtey mein kahin par
Apne sahi hote hue bhi galat muzhe teharna pada sirf teri hee wazha se.

Jana chaha jab jab door tuzhse teri khushi ke liye, tune khicha muzhe apni orr
Muzhe teri orr har baar, baar baar khichna pada, rona pada teri wazha se.

Aaj jab kuch bacha nahi muzhme muzhsa kahin kuch, ja raha hoon abb,
jana padd raha hai iss duniya se muzhe sab chodkar sirf teri hee wazha se.

Tu hee wazha thi meri zindgi kee, wazha meri maut kee bhi tu hee
Marr raha hoon jab aaj mai, jimmedaar khud ko bata raha hoon teri wazha se.....

Abb pata chalta hai..

Jane lage jab koi chodkar ehamiyat ka uski tab pata chalta hai,
kya gujri hogi uss masoom dil par, guzri jab muzh par to ab pata chalta hai....
cha tune par pa na saka saath mera, aaj jab tu choot raha hai muzhse.
ret ka band muththi se nikalna kya hota hai, ab pata chalta hai.

chupaya kiyne ashko ko tune apni aankhon mein maine na dekha
aaj jab chupana pada in ashko ko muzhe meri inn aankhon mein
tadapna pada jab aaj muzhe kisi ke pyaar mein kuch iss traha,
kisi ke pyaar mein tadpna kya hota hai, abb pata chalta hai..

Tu karta raha pyaar muzhe bina kisi chahat ke taumra
aaj jab ehsaas muzhe hua mohabbat ka teri arse baad
ek tarfa pyaar karna, uski berukhiyo ka dard, wo ek nigha..
hua jab abb muzhe inn halato mein to abb pata chalta hai..

kisi ke liye khud ka rulana kya hota hai..haan abb pata chalta hai..
kisi ke khushi ke liye khud ko rulana kya hota hai..haan abb pata chalta hai
kisi kee zindgi ke liye khud ko mitana kya hota hai..haan abb pata chalta hai...

kya hota hai band aankho se kisi ko dekhna, haan muzhe abb pata chalta hai
kya hota hai band kabra mein khuli aankho ka intezaar, haan muzhe ab pata chalta hai..